Yeh seher kiska hai

Categories Fiction

Yeh seher Kiska hai
Kuch raaston pe teri yaad beechi hai
Kuch asmanon pe mera naam likha hai
Kahin tera naam liya tha
Kahin gusse main Yun hi tera haath choda tha

Yeh seher Kiska hai
Kuch ped jinke saye main khade the
Kat Gaye hai
Kuch dukanon pe jahan chai Ki chuski li thi
Band ho chuke hai
Ees badle maanchitra main kitna hamara tha
Kitna mera hai
Aur kitna hai tera

Seher ke kone main woh chidiaghar yaad hoga tumko
Woh mota aalsi sher tumhe bha gaya tha
Chalo woh tumhara Hua
Us ped ke sukhi dandi se latka saanp mera
Khub chadha tha shivji ban ne ka shauq us din
Aaj ke ees tandav main Jo bhashm Hua
Usmain kitna tha tera aur kitna mera

Yeh sheher Kiska hai
Yeh Kiska kahan Hua hai
Ees Ki ghanghanati baarish main ek chaatri Kholi thi
Bas uske neeche Ki zameen sukhi thi
Ab us sukhe dharti main
Kitni dhool meri
Kitna kankar tera

Yeh seher na tera tha
Na mera
Kal koi aur basa tha
Aaj koi aur
Ek parat rang ki aur chadhegi
Shayad yeh phir se nayi dikhegi
Ya phir nahin
Ya phir wahi sawaal phir uthega
Ye seher kiska hai

Yeh sehar ab apna nahin
Iska bhi kya batwara karna
Iski imaraton ke neeche hain kitne khandhar
Khandhar ke neeche dabi siskiyaan
Dafn hai sadiyon ki yadein yahan
Ab shamshan ka batwara bhi kya karna

Yeh seher kiska hai
Ab yeh parwah hai kisko
Kai basinde hai iski galiyon ke
Kal hum the,
aaj hum hain,
ab ees seher se wafa kisko
ees seher main bheed badi hai
hawa kam
jab saans ghutne lagegi toh sochenge
yeh seher kiska tha

 

  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •