Hisaab

Categories Fiction

Ek din mil baithenge zindagi
Jab tu mere shareer se azaad hoga
Aur puri karli hogi maine teri miyaad
Zameen se saatve aasman ke beech ke safar main
Kagaz kalam leke karenge hisaab

Kagaz tu lana, ya phir likh lena aasman pe
Kalam main kisi se maang lunga
Badi si ek badal pe baith ke karenge hisaab
Meri zindagi kitni maine jee
Aur kitna jia tune mujhe
Kitni dafaa maine mauka dia tujhe
Kitni baar tu dagabaaz nikla

Pehli baar mujhe darr na hoga tera
Na hogi teri parwah
Bura na maan na
Sach bol dun toh
Tera dil tod dun toh
Zindagi bhar ka saath reha tere saath zindagi
Beete palon ki yadon main kho jaana
Ya phir sun ke ansuna kar lena
Munh pe haath rakh ke chup mat kar dena
Gar koi baat chubh jaae toh
Yaaden aur na ban payengi tab
Bas yeh aakhri galti maaf kar dena

Swarg ke darwaje pe haath pakad lena
Darwan ko agar hum dost hain kahun
Munh mat bana lena, na haath pachaad dena
Bas itni si baat maan lena meri
Uske baad jo teri marzi

Agle janam kisi aur ko chun lena zindagi
Koi puche to bolna bas yun hi
Ya phir dil ub chuka tha
Ya phir maine qadr na ki teri
Ya phir ek hi main jeeli saat janam
Ya phir bol dena job hi tera dil kare
Tune meri suni kab hai
Aakhri baar dil bahlana tha
Tujhse yun hi kuch na kuch kehna tha
Baaki teri marzi

Kabhi tu bhi tha mera
Ab aagey khayal rakhna
Raah main mere jaisa na mile koi
Toh ek din mujhe yaad karna
Aur yun hi has dena

  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •  
  •